Best 50 Ishq Poetry in Urdu | 2 Lines Ishq Shayari SMS

Ishq Poetry in Urdu

Ishq poetry in Urdu is learned as one step forward in love and welfare. A person going via this state is thought to be lost in dreams. Ishq poetry in Urdu explains the situation and affairs of Ishq. The world’s famous Urdu poets wrote this Ishq 2-line poem.

Our team shares new Urdu poetryquotes, and instructive content. Keep coming back for the latest updates.

Table of Contents

Ishq Poetry in Urdu 2 lines

Ishq Poetry in Urdu
Ishq Poetry in Urdu

ہزاروں راستوں سے کیا ہزاروں منزلیں کیونکر
مجھے بس اس پہ چلنا ہے جو رستہ تم تک لے جائے

Hazaron rasto say kia hazaron manzalin kunkar
Mujhy bas is pay chalna hai jo rasta tum tak ly jay
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Ishq Poetry in Urdu
Ishq Poetry in Urdu

جب حاصل ہو جائے تو خاک برابر
رزق بھی عشق بھی نصیب بھی رقیب بھی

Jab hasil ho jaye to khaak barabar
Rizq bhi ishq bhi naseeb bhi raqeeb bhi
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Ishq Poetry in Urdu
Ishq Poetry in Urdu

تم سے جو عشق تھا وہ عشق بھی فسانا رہا
تمہاری یاد کا دستور بھی پرانا رہا

Tum se jo ishq tha woh ishq bhi fasana raha
Tumhari yaad ka dastoor bhi purana raha
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Ishq Poetry in Urdu
Ishq Poetry in Urdu

بڑے عجیب سلسلے ہیں اس محبت اور عشق کے
کوئی وفا کے لیے رویا تو کوئی وفا کر کے رویا

Bary ajeeb silsile hain is mohabbat aur ishq ke
Koi wafa ke liye roya to koi wafa kar ke roya
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Ishq Poetry in Urdu
Ishq Poetry in Urdu

یہ کس موڑ پہ لے آئی ہے جستجو تیری
پانی پر عکس میرا ہے اور نظر تم آتے ہو

Yeh kis morr pe le aayi hai justuju teri
Paani par aks mera hai aur nazar tum aate ho
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ishq e haqiqi poetry 

Ishq Poetry in Urdu
Ishq Poetry in Urdu

جی چاہتا ہے چوم لوں دشمن کے پیر بھی
آئے ہیں میرے یار کی گلیوں میں گھوم کر

Ji chahta hai choom loon dushman ke pair bhi
Aaye hain mere yaar ki galiyon mein ghoom kar
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Ishq Poetry in Urdu
Ishq Poetry in Urdu 2 line

بس اتنا یاد ہے کہ مجھے عشق ہوا تھا
پھر کیا ہوا اس کی مجھے خبر نہیں

Bas itna yaad hai ke mujhe ishq hua tha
Phir kya hua uski mujhe khabar nahi
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تمھیں یاد ہے نا آدھی رات کا وہ لمحہ
جب تم سے بات کرتے کرتے
میرے فون کی سکرین پر
دن اور تاریخ بدل جاتے تھے

Tumhein yaad hai na adhi raat ka woh lamha
Jab tum se baat karte karte
mere phone ki screen par
din aur taarikh badal jaate the
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ہم نے خود کو آپ کی چاہت میں اس قدر ڈبو دیا
نتیجہ یہ ہے کہ اب باہر نکلوں تو سانس نہیں آتی

Hum ne khud ko aap ki chahat mein is qadar dubo diya
Natija yeh hai ke ab bahar nikloon to saans nahi aati
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ہزاروں راستوں سے کیا ہزاروں منزلیں کیونکر
مجھے بس اس پہ چلنا ہے جو رستہ تم تک لے جائے

Hazaaron raaston se kya hazaaron manzilein kyun ke
Mujhe bas is pe chalna hai jo rasta tum tak le jaaye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

آ بیٹھ میرے سامنے تجھ پر آیت پڑھ کر دم کروں
کہ تو میرے سوا کسی اور کا طلبگار نہ رہے

Aa beth mere saamne tujh par aayat parh kar dam karo
Ke tu mere siwa kisi aur ka talibgaar na rahe
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

urdu ishq poetry 

کسی کو سوچتے رہنا بھی عشق ہے

Kisi ko sochte rehna bhi ishq hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کیا یہی ہے کمال عشق و محبت کرنے کا
عمر جینے کی ہے اور شوق مرنے کا

Kya yehi hai kamal ishq o mohabbat karne ka
Umar jeene ki hai aur shauq marne ka
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

مسئلہ یہ نہیں کہ تیرے ہیں
مسئلہ یہ ہے کہ صرف تیرے ہیں

Masla yeh nahi ke tere hain
Masla yeh hai ke sirf tere hain
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ایک ہی شخص پہ لٹا دیتے ہیں جو زندگی اپنی
ایسے لوگ اب کتابوں میں ملا کرتے ہیں

Ek hi shakhs pe luta dete hain jo zindagi apni
Aise log ab kitaabon mein mila karte hain
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تو نے پکارا ہے تو ننگے پاؤں ہی چلے آئیں گے
ہواؤں کا رخ نہیں دیکھیں گے تیرے اشارے کے بعد

Tu ne pukara hai to nange paon hi chale aayenge
Hawaaon ka rukh nahi dekhein ge tere ishaare ke baad
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ishq e rasool poetry in urdu 

جن کے خیال سے لبوں پر تبسم آجائے
ہائے کیا عالم ہو اگر وہ روبرو آجائے

Jin ke khyaal se labon par tabassum aajaye
Haaye kya aalam hai agar woh rubaru aajaye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

روح سے چاہنے والے عاشق
بات جسموں کی کرتے نہیں

Rooh se chahne wale aashiq
Baatein jismoon ki karte nahi
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

‏ساتھ نبھانے والے
حالات نہیں دیکھا کرتے

Saath nibhane wale
Haalaat nahi dekha karte
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

میں نا سمجھ ہی سہی پر میں وہ تارا ہوں
جو تیری اک خواہش کے لیے سو بار ٹوٹ جاؤں

Main na samj hi sahi par main wo tara hoon
Jo teri aik khawaish kliya so bar toot jaon
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

میرا سکون اور سکون بھی روح کا
دیکھ یار کس قدر قیمتی ہے تو

Mera sukoon aur sukoon bhi rooh ka
Dekh yaar kis qadar qeemti hai to
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

جب سے آنکھ لگی ہے تم سے
اس دن سے میری آنکھ نہیں لگی

Jab se aankh lagi hai tum se
Is din se meri aankh nahi lagi
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

tere ishq ki inteha chahta hoon poetry 

تیری صورت کا دیوانہ کوئی اور ہو گا
میں نے تو تجھے دیکھے بغیر عشق کیا ہے

Teri soorat ka deewana koi aur hoga
Maine to tujhe dekhe bina ishq kya hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

بات ختم ہو گی قبر کی مٹی پے
ہم تجھے زندہ بھول نہیں سکتے

Baat khatam hogi qabr ki mitti pe
Hum tujhe zinda bhool nahi sakte
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

عشق میں ہم نے یہ کمال دیکھا ہے
نہ جان چھوڑتا ہے نہ جان جاتی ہے

Ishq mein hum ne yeh kamal dekha hai
Na jaan chodta hai na jaan jaati hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اپنی بددعائیں اپنے پاس رکھو
مجھے عشق ہے خود ہی برباد ہو جاؤں گا

Apni badduaen apne paas rakh
Mujhe ishq hai khud hi barbaad ho jaunga
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

عشق کی نگری میں معافی کسی کو نہیں ہوئی
عشق عمر نہیں دیکھتا اجاڑ دیتا ہے بس

Ishq ki nagri mein maafi kisi ko nahi hui
Ishq umr nahi dekhta, ajaar deta hai bas
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اور ایک شخص کے لئے
میں نے بیوقوفیوں کی حد کر دی

Aur ek shakhs ke liye
Maine bewaqoofiyon ki hud kar di
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

tujhe ishq ho khuda kare poetry 

کر لیا تھا میں نے عہد ترک عشق
تم نے پھر باہیں گلے میں ڈال دی

Kar liya tha maine ahd tark-e-ishq
Tum ne phir baahein gale mein daal di
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

جب بھی تیری قربت کے امکاں نظر آئے
ہم اتنا خوش ہوئے کہ پریشاں نظر آئے‎

Jab bhi teri qurbat ke imkaan nazar aaye
Hum itna khush huye ke pareshaan nazar aaye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

‏مرد اس عورت کے عشق سے کبھی نہیں نکل سکتا
جس کو وہ حاصل نہ کر سکے

Mard is aurat ke ishq se kabhi nahi nikal sakta
Jisko woh hasil nahi kar sake
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اگر ہو جاتی میری دوستی ان بادلوں کے ساتھ
قسم سے ہم تجھ پے کبھی دھوپ نہ آنے دیتے

Agar ho jaati meri dosti in badalon ke saath
Qasam se hum tujh pe kabhi dhoop nahi aane dete
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

انسان عشق میں اور بسکٹ چائے میں ڈوب جائے
تو اسے اس کے حال پر چھوڑ دو

Insaan ishq mein aur biscuit chai mein doob jaaye
To use is ke haal par chor do
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ڈاکٹروں نے بھی علاج کرنے سے انکار کر دیا
تیرے دیدار کا ایک لمحہ میرے لیے کافی ہے

Doctors ne bhi ilaaj karne se inkar kar diya
Tere deedaar ka ek lamha mere liye kaafi hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ishq majazi poetry 

انہوں نے ہمیں دیکھ کر مسکرا کیا دیا
کمبخت دل نے تو ادھم ہی مچا دیا

Unhon ne humein dekh kar muskura kya diya
Kambakht dil ne to aadham hi macha diya
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تجھ سے ملے نہ تھے تو تیری آرزو نہ تھی
ملے جو تجھ سے تو تیرے طلبگار ہوگئے

Tujh se mile na the to teri arzoo nahi thi
Mile jo tujh se to tere talibgaar ho gaye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

وہ صرف میری محبت ہوتا تو شاید اسے بھولنے کا بھی
سوچ لیتی لیکن وہ میرا پہلا اور آخری عشق ہے

Woh sirf meri mohabbat hota to shayad use bhoolne ka bhi
Soch leti lekin woh mera pehla aur aakhiri ishq hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اک پل بھی اسے آنکھ سے اوجھل نہیں دیکھا
میں پھر بھی یہ کہتا ہوں مکمل نہیں دیکھا

Ek pal bhi use aankh se ojhal nahi dekha
Main phir bhi yeh kehta hoon mukammal nahi dekha
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تم جو نصیب میں لکھ دئیے جائو تو میں بھی کہوں
دیکھو مجھے مل گیا تمام سسکتی دعائوں کا صلہ

Tum jo naseeb mein likh do to main bhi kahoon
Dekho mujhe mil gaya tamam siskti duaon ka sila
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اور پھر میں نے رب سے رو رو کر
اپنے لئے صبر اور اس کے لئے خوشیاں مانگی

Aur phir maine Rab se ro ro kar
Apne liye sabr aur us ke liye khushiyan maangi
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

‏روح سے روح کا رشتہ بنا لیتے ہیں
چلو اتنی گہرائی سے دل لگا لیتے ہیں

Rooh se rooh ka rishta bana lete hain
Chalo itni gehraai se dil laga lete hain
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

شکوہ کرتے ہیں لوگ بچھڑنے کا بکھرنے کا
وہ عشق ہی کیا جو سلامت چھوڑے

Shikwa karte hain log bichhadne ka, bikharne ka
Woh ishq hi kya jo salamat chhode
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ishq mirza ghalib poetry 

میں کیوں نہ غرور کرتا اپنے آپ پر
اس نے مجھے چاہا تھا جس کے چاہنے والے ہزاروں تھے

Main kyun na ghuroor karta apne aap par
Usne mujhe chaha tha jis ke chahne wale hazaaron the
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اور لا حاصل شخص کو اپنا مانتے رہنا
یہ بھی عشق ہے

Aur la hasil shakhs ko apna maante rehna
Yeh bhi ishq hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

میں تمہیں بھولنے کا سوچوں
تو دھڑکنیں احتجاج کرتی ہیں

Main tumhe bhoolne ka sochun
to dhadkanen ehtijaj karti hain
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

چاہا تھا تمہیں کچھ اس طرح سے کہ
تمہارے بعد کچھ نہیں چاہا ہم نے

Chaha tha tumhein kuch is tarah se ke
Tumhare baad kuch nahi chaha humne
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

kya kaha ishq kar baithe poetry 

ایک ہی لمحہ میں ساری زندگی جی آیا ہوں
آج میں اس کے ہاتھ کی چائے پی کر آیا ہوں

Ek hi lamha mein saari zindagi ji aaya hoon
Aaj main us ke haath ki chai pee kar aaya hoon
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

چاہا تھا تمہیں کچھ اس طرح سے کہ
تمہارے بعد کچھ نہیں چاہا ہم نے

Chaha tha tumhein kuch is tarah se ke
Tumhare baad kuch nahi chaha humne
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

جب پہلی بار اسے دیکھا
قسم خدا کی ساری رات سوچوں اور مسکراہٹوں میں گزری

Jab pehli baar use dekha
Qasam Khuda ki saari raat sochun aur muskurahaton mein guzri
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

About Hanzla

I am Hanzla, founder of Ak Urdu Poetry, a dedicated platform providing a unique experience. The online platform specializes in Urdu poetry and is committed to providing only 100% safe and unique content.

View all posts by Hanzla →

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *